Tujhe doondte hain log
Mandiron aur masjidon mein
Tumhe khojte hain woh
Girjon aur gurdwaron mein
Apne dil ko chodkar
Har jagah batakte hain log
Phir tahash me aakar
Ek doosre ko marte hain log
Agar samay nikalkar
Apna hi dil tatolte
Dekh tumhe khush hote
Apni hi zindagi sanwarte
Itni akal agar unme hoti
To khoon ki nadi na behti
Mazhab ke naam par
Ye duniya na ladti
Koi tumhe kanha kahe
Toh koi kahe tumhe khuda
Koi tumhe nanak kahe
Toh koi tumhe isa
Par tum to bas ek ho
Is choti si baat ko
In nasamjhon ko bata do
Sab kuch jhulus jayega
Na mandir rahegi na masjid
Na girja na gurdwara
Tere hi naam par
Sab khatam ho jayega
Tune hi banaya
Ab tu hi bigaad raha hai
Ai khuda ye bata
Ye bhala kaisa insaaf hai ?
No comments:
Post a Comment